Delicious Chicken Paratha Roll Recipe for kids lunch

Introduction

Delicious Chicken Paratha Roll Recipe for Kids lunch

Kya aap apne bachon ke liye ek jaldi aur mazedaar lunch idea dhoond rahe hain? is article mein apko  best  delicious  Chicken Paratha Roll for kids lunch btayi gayi hai .. Grilled chicken, fresh  salad, aur cheesey  twist se bhhari yeh recipe apko  zaroor pasand aayegi. Yeh sirf dekhny mein tasty he nahi  , balke banane mein aur bhi asan hai.. bachy bhary dono isy pasand karty hain..

Ingredients:

Chicken tyaar karny  ke liye:

  1. 500 grams chicken chest pieces or boneless chicken, strips mein kaata hua
  2. 3  tablespoons dahi
  3. 1 teaspoon red chili powder
  4. 1 teaspoon cumin powder
  5. 1 teaspoon coriander powder
  6. 1 teaspoon garam masala
  7. Salt, hasb e zaiqa
  8. 3 se 4 tablespoons lemon juice
  9. 2 tablespoon soya sauce (optional)
  10. half  tablespoon vinegar (optional)
  11. half  teaspoon chicken powder (optional)
  12. 2  tablespoons cooking oil  or ghee (grilling ke liye)

Parathay ke liye:

normal homemade aata ya maida  ya frozen paratha bhi istemal kar sakte hain homemade ata is best for health and maida is good in taste

Filling ke liye:

  1. 1 cup shredded cheddar cheese
  2. Delicious Chicken Paratha Roll Recipe for Kids lunch
  3. 1 cup fresh salad (bandh gobi, lettuce, tamatar, kheera, pyaaz, )
  4. 1 tablespoons mayonnaise (optional)
  5. half tbs Ketchup (optional)

Instructions

Step 1: Chicken ko Marinate karne ka tariqa for chicken paratha roll

1. Ek  bowl mein dahi, red chili powder, cumin powder, coriander powder, garam masala, salt, lemon juice, soya sauce, vinegar, aur chicken powder (agar istemal kar rahe hain) ko achi tarah mix kar len..

2. Chicken strips ko marinade mein daal kar achi tarah se milayein taa ke chicken ki  pori tarah se coating ho jaye.

3. Bowl ko cover  kar  ke kam se kam 30  mins  se 1 ganty  tak marinate hone ke liye rakh den ..

 

Step 2: Chicken ko Stovetop par Grill karein

1. Ek grill pan ya skillet mein medium heat par oil garam karein.

2. Marinated chicken strips ko daal kar 5-7 minutes tak har side par grill karein jab tak wo puri tarah se pak jayein aur halka sa charred ho jayein. Dono sides ko check karna na bhoolen.

Step 3: Parathay tayaar karein

1. Agar aap frozen  parathay istemal kar rahe hain, to unhein package instructions ke mutabiq skillet par garam karein.

2. Homemade parathay ke liye, aate ko gol ghoon kar flat circles bana kar garam skillet par dono taraf se golden brown hone tak pakayein.https://asmajameel.com/chicken-biryani-banane-ka-tariqa-pakistani-pakistani-style-100-authentic-delicious-mouthwatering-recipe-in-urdu-hindi/

Chicken Biryani Banane ka Tariqa Pakistani ( Pakistani Style) 100% Authentic , Delicious & Mouthwatering recipe in Urdu & Hindi

Step 4: Rolls ko Assemble karein

1. Ek garam paratha flat surface par rakhain.

2. Chicken ka ek portion beech mein rakhein.

3. Upar shredded cheddar cheese aur fresh salad ka acha sa portion daalain.

4. Agar chahain to mayonnaise aur ketchup daalain.

5. Paratha ko tightly roll karein, filling ko achi tarah se andar band karein.

 

Step 5: Serve karein

best  delicious  Chicken Paratha Roll for kids lunch

1. Roll ko asan handling ke liye do hisson mein kaat lein.

2. Now you can  serve with ketchup or any  dipping sauce of your choice,

 

Tips for a Perfect delicious  Chicken Paratha Roll

Salad Customize karein: Apne bachon ke pasandida sabziyan salad mein daal kar ya substitute karke dekhein.

Thora Spicy banayein: Agar aapke bachay spice pasand karte hain, to chicken marinade mein kuch chopped green chilies daal sakte hain. but chillies bachon ke liye zyda suitable nahi hoti.. zyda theekha ho sakta..

Lunch ke liye Pack karein: Rolled paratha ko foil ya parchment paper mein lapet kar lunch box mein school ke liye dy sakty ya ghr pr b bna ke dy sakty bachy is tarah ka lunch box bht pasand karty..

 

Conclusion

Yeh Chicken Paratha Roll bachon ke liye ek nutritious and tasty option hai school lunch time k liye… Tender grilled chicken, cheesy goodness, aur fresh salad ke saath,  pasand aayega. Plus, yeh itna aasaan hai ke ap apny busy time me b waqat nikal key bna sakta.. Yeh sirf flavors se bhara hi nahi, balke fillings ko aapke bachon ki pasand ke mutabiq customize karne ki bhi ijazat deta hai.

FAQ

1. Kya main is recipe ke liye frozen chicken istemal kar sakta hoon? Haan, aap frozen chicken istemal kar sakte hain. Sirf isay marinate aur cook karne se pehle achi tarah khol len garam pani mein ya microwave me ye rakh kar jaldi khul jaye ga lekn aeisy nikal key rakhny sy bht time lagna ..

2. Agar mere bachay cheese nahi pasand karte, to kya karoon? Aap cheese ko hata sakte hain ya unki pasand ke kisi aur spread ya zyada sabziyan daal sakte hain.

3. Kya main chicken pehle se tayaar kar sakta hoon? Bilkul! Aap chicken ko raat se marinate kar sakte hain aur subah grill kar sakte hain taake lunch option jaldi mil sake.

4. Mein salad mein aur kya vegetables daal sakta hoon? Aap apne bachon ki pasand ke hisaab se kisi bhi sabzi ko daal sakte hain, jaise gajar, bell peppers, ya avocados.

5. Kya main is recipe ko gluten-free bana sakta hoon? Aap parathay ki jagah gluten-free wraps ya tortillas istemal kar sakte hain.

Leave a Comment

Title: 5-Minute Mug Cake Delight! A quick and easy treat in just 5 minutes! Perfect for a sweet craving fix. Vegan Strawberry Smoothie Bowl Quick Recipe step by step in just 5 min 5 Minute Mango Yogurt Parfait Recipe step by step in easy way